Wo Kagaz Ki Kashti Lyrics - Jagjit Singh and Chitra Singh Lyrics

Wo Kagaz Ki Kashti Lyrics - Jagjit Singh and Chitra Singh Lyrics

Singer Jagjit Singh and Chitra Singh
Singer Jagjit Singh
Song Writer Sudarshan Faakir

Ye daulat bhi le lo, ye shohrat bhi le lo
Bhale chin lo mujhse meri jawani,
Magar mujhko lauta do bachpan ka saawan
Wo kagaz ki kasthi, wo barish ka pani.

Ye daulat bhi le lo, ye shohrat bhi le lo
Bhale chin lo mujhse meri jawani,
Magar mujhko lauta do bachpan ka saawan
Wo kagaz ki kasthi, wo barish ka pani,
Woh kagaz ki kasthi, wo barish ka pani.

Mohalle ki sabse nishani purani
Woh budhiya jise bachche kehte the nani
Wo nani ki baato me pariyo ka dera
Wo chehre ke jhuriyo me sadiyo ka phera
Bhulaaye nehi bhul saqta hai koi
Woh choti si raate wo lambi kahani
Wo kagaz ki kasthi, wo barish ka pani
Wo kagaz ki kasthi, wo barish ka pani.

Kadi dhup me apne ghar se nikalna
Wo chidiya wo bulbul wo thithli pakadna
Wo gudiya ki shadi pe ladna jhagadna
Wo jhulo se girna, wo gir ke sambhalna
Wo pithal ke challo ke pyaare se thofe
Wo tuti hui chudiyo ki nishaani
Wo kagaz ki kasthi, wo barish ka pani
Wo kagaz ki kasthi, wo barish ka pani.

Kabhi ret ke uche tilo pe jana
Gharode banana, banaake mitana,
Wo maasum chahat ki tasvir apni
Wo khwabo khilono ki jagir apni
Na duniya ka gham tha, na rishto ke bandhan
Badi khubsurat thi wo zindgani.

Ye daulat bhi le lo, ye shohrat bhi le lo
Bhale chin lo mujhse meri jawani,
Magar mujhko lauta do bachpan ka saawan
Wo kagaz ki kasthi, wo barish ka pani,
Wo kagaz ki kasthi, wo barish ka pani,
Wo kagaz ki kasthi, wo barish ka pani,
Wo kagaz ki kasthi, wo barish ka pani.



Comments